Telenor daita hai ap ko easy paisa ki sahulat, Ab ap pakistan main kisi be shehar(city) main aik jaga se dosri jaga paise bheaj saktey hain.
Is kay liye ap kay pass Telenor Sim , Connection ya Registration ka hona zaroori nahi.Ye sahulat ap bina Telenor kay connection , Sim ya kisi be Registration kay hasil kar saktey hain ..
Is kay liye ap kay pass Telenor Sim , Connection ya Registration ka hona zaroori nahi.Ye sahulat ap bina Telenor kay connection , Sim ya kisi be Registration kay hasil kar saktey hain ..
How to use Easy paisa service?
Easy paisa istamaal karne ka tarika?
Tarika | Agar ap pakistan main kisi ko paise bheajna chahtey hain to sab se pehly ap ko Easypaisa shop dhoondni hogi, Har shaher (city) main buhat si shops moujood hain.Ap kisi be Easy paisa shop par jayain aur di gai hadaayat ko parhain. |
Apnay sath apna Nadra ka CNIC (Identity card) (shankti card) Zaroor lay kar jayain sath main us ki ek photocopy bhi honi lazmi hai. |
Jo Raqam (Money) Bheajni hai wo be apnay Hamrah sath main laayain
Jis ki taraf paise baijnay hain us ka Nadra ka (ID card) (Shanakti Card) (Identity Card) Number be sath main likh kar laayain
Apna mobile number aur jis ki taraf paise bheajnay hain us ka mobile number
Paise bheajtey waqt Dukan daar ap se 5 lazoon par mushtamil khoofia code (secret code) bataye ga aur yahi code ap ko us ko batana hoga jis ki taraf paise bheajay jaa rahy hain
Paise Bheajay waly aur Paise lainay walon ko un kay mobile par tasdeek (confirmation) ka sms mousool ho jaye ga
Jab Tasdeek ka sms ap ko mil jaye to jis ki taraf paise bheajay hain us ko bataye jaye kay wo apnay shaher (city) ki kisi be Easy paisa shop se us Raqam (money) ko hasil kar lay
Paise Lainay wala Apna (ID Card) (shankhti card) aur us ki photocopy apny sath laita jaye
Jab Paise lainay wala Easy paisa Dukan (shop) par jaye to us ko 5 lafzoon par Mushtamil code us Dukandaar ko batana hoga jo apnay paise lainay waly ko bataya tha
No comments:
Post a Comment